Ik vakt aisa bhi tha darmayaa....
zindagi ka zaykaa alag saa tha
muskaan ke moti ghulte the nazro me
yeh khel-e-nigaah hume mehfil me tanha kar dete
aisi bekhudi se hum tauba kar lete
vaado me zindagi jhalkati kal wali
Ik vakt aisa bhi tha darmayaa.....
baato me, khwahishe uski khwaab ban jaate the mere,
haatho ki chhuan se masle sulajh jaate saare,
hum me kuch, mujhsa us sa naa tha,
hum the ....kya yahi kuch kam tha.
rehguzar naa sai the humsafar,
raahen judaa sai the humraahi,
faaslo pe kismat sai the aabad.
Ik vakt aisa bhi aaya tha darmayaa.......
aur ab yeh alaam hai ki
khamoshi hai mulaqaato me,
sawaal hai jazbaato me,
aur yaadein bas ho rahi hain bayaa adhure alfaazo me,
wafaao ko sahil naa mila
Rahaato me ab asar naa raha,
naa falsafo me sukoon,
palko me aansu hai gujishta ke,
na manzoor mohabbat ka keh lo ise kasoor,
arzoo ki dulhan naa hui ruksat kabhi dil-o-dar se,
aur hum samjhe ki .....pichli raat ke musafir ki manzil abhi hai thodi aur door.