|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Khamoshiyaan hai darmayaan
Kisi ne sikha di khamoshi is kadar ke hont sil se gaye, Kuch baya karte toh ho jaati rusvaiyaan,
Nazaro ke woh saamne nahi is cheez ka harzana woh kya... Humne chukaya hai, in askho ko rukhsaar se dhalkalne se bachaya hai,
Nishaaniyaa hai darmayaa phir bhi faasla hai kitna, Shabado se ise mitaana hai, Unhe dil ke aur kareeb laana hai.
Roobaroo toh honge nahi... .. Yeh vaada tha unse, Nazre chura jaaye unse, Yeh toh hoga naa humse.
Socha tha samjh jaayenge woh dil-e-tishnagii ko, Woh hume samjhe na sahi, Is baat ka bhi koi gam nahi.
Lahu ki zaroorat nahi jeene ke liye, Uski ik aahat hi kaafi hai, Is viraane me roshni ke liye, Dil doobta jaa raha hai tanhai ke sailaab me, Kaafi hai ik saahil har tooti hui aas ke liye!!
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|