|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Gujishta
Log badal jaate hain, Karvaa guzar jaate hain, Zindagi ke kuch lamhe, Chand alfazo me simat jaate hain.
Dil ki teh se utarkar, Seedhe kaagaz par dastaan ki tarah fail jaate hain, Daastaa aisi jo, Vakt ki silvato ko mitati chali jaati hai, Jin galiyo se guzre the kabhi, Unka kotuhal seene me dafna jaati hai.
Anjaane chehro ki bheed me jaan pehchaan badati hai, Mile the kabhi kisi mod pe yeh ehsaas dilaati hai.
Yeh sard ehsaas apne hi gujishta se vaakif karaate hain, Un siyaah raato ko yaad karte hue, Rukhsaar par ashk chale aate hain.
Shab-e-intezaar ki kashmakash me apni hi dhadkano ko aazmate hain, Jaan ne ke liye apni ehmiyat kai raate aakhon me guzarte hain.
Alfazo ki jadoogari samjhe wahi jo maajhi hai inka, Baaki sabko toh yeh dimaag ki karigari nazar aati hai.
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|