|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Kahin yeh pyaar to nahi
kisi ki yaadon me kho jaana kisi ke khyaal se dil ka sihar jaana kisi ki ek aahat se chauk jaana kahin yeh pyaar to nahi? nahi yeh pyaar to nahi ho sakta na.
kisi ki aakhon me apni duniya simat te dekhna, kisi ka chehra har chehre me dekhna, kisi ke haathon ki lakiro me apna mustakbil dekhna, kahin yeh pyaar to nahi? nahi yeh pyaar to nahi ho sakta na.
kisi ke aagosh me hosh kho dena, kisi ki saadai har taraf sunai dena, kisi ka aks aaine me dikhai dena, kahin yeh pyaar to nahi? nahi yeh pyaar to nahi ho sakta na.
apni har baat me usi ka zikr paana, tanhai me uske khyaalo me khudko uljha hua paana, bheed me khud ko tanha paana, apne haatho ki lakiro me uske hi nishaa paana, kahin yeh pyaar to nahi?nahi yeh pyaar to nahi ho sakta na.
kisi ka ajnabee hote hue bhi apna-sa hona, sab kuch hote hue bhi ek sunapan hona, kisi ki aawaz sunte hue apni raatein kaatne ka dil hona, kisi ke itne paas hona ki sabse doori ka ehsaas bhi na hona, kuch kehna chaahte hue bhi kuch na keh paana, aur kehte-kehte kuch aur hi keh jaana.
Ishh... yeh main kya keh rahi hoon, kahin yeh pyaar to nahi? nahi-- pata nahi-- shayaad-- ho sakta hai par agar yeh pyaar nahi to yeh kya hai, agar aapko pata chale to bataiega zaroor-e-huzoor!!
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|