|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Agar Mujhe Tumse Pyaar Nahi
This particular poem will always remain close to my heart coz this was my first poem which i wrote nearly 2 years back.
Agar mujhe tumse pyaar nahi, To kyon tumhari yaad mujhe satati hai, Aati hai aur simatkar tumhi me kho jaati hai, Kyon khyaalon par harvakt tumhara pahra rehta hai, Aur is dil ko tumhare pyaar ka aasra rehta hai, Tumne to kiya pyaar ka ikraar kai baar, Maine kiya inkaar aur hui mere dil se meri takraar, Tum ise na janoge kyonki jaan tum mujhe na samajh paoge, Tumhe lakh samjhaya na karo mujhpar aetbaar, Tumne kaha kaise na karu jab pyaar hai tumse har baar, Intezaar….. yeh ehsaas jitna sunne me acha hai, Utna hi karne me bura hai, Tum rehte ho harvakt tanhai me;tanhai ke saath, Yeh tanhai tumhe mili hai meri mohabbat me saugaat, Pehle main tumhe jaanti thi ab pehchanti hoon, Tumhari jubaan kuch nahi kehti, Par tumhari aakhen har baar ek unsuna fasaana bayaa karti hain, Main jan kar anjaani nahi hoon, Main tumhari kabhi ho sakne wali kismat suhaani bhi nahi hoon, Mushkil hai bahut mushkil chaahat ko bhula dena, Asaa nahi yeh aag bhuja dena, Uljhan aur kuch nahi par hum tumhe na bhula paayenge, Mumkin to nahi par tum hame bhula dena!!
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|